Tuesday, January 4, 2011

Naat e Lyrics

Raate bhi Madine ki baate bhi Madine ki


Raate bhi Madine ki baate bhi Madine ki
Jeena mein ye jeena hai kya baat hai jeene ki

Arsa huwa Taiba ki galiyon se ye guzra hai
Is waqt bhi galiyon me khushbu hai paseene ki

Mein Madine ki galiyon pe qurban
Jinse guzra he Shah-e-Madinah

Is tarha se mehekta hai raasta
Itr jaisa lage huwa hai

Arsa huwa Taiba ki galiyon se ye guzra hai
Is waqt bhi galiyon me khushbu hai paseene ki

Kya mehekta ta hai mehekne wala
Ke buu pe chalta hai bhatakne wala

Arsa huwa Taiba ki galiyon se ye guzra hai
Is waqt bhi galiyon me khushbu hai paseene ki

Wallah jo miljaaye tera gul ka paseena
Maanga na kabhi itr na phir chaaya dulan phool

Arsa huwa Taiba ki galiyon se ye guzra hai
Is waqt bhi galiyon me khushbu hai paseene ki

Ye zakham hai Taiba ka ye sabko nahi milta
Koshish na kare koi is zakham ko seena ki

Ye apni nigaaho se mastaana banata hai
Mastaana banata hai deewana banata hai

Har saal Madine me Mirza ko bulaata hai
Sarkar jagaata hai taqdeer kameene ki

Raate bhi Madine ki baate bhi Madine ki
Jeena mein ye jeena hai kya baat hai jeene ki


Sabse aula oaala hamara nabi

Sab se awla wa aala hamara Nabi
Sab se baala wa waala hamara Nabi

Apne Mawla ka pyara hamara Nabi
Dono aalam ka Dulha ha hamara Nabi

Bazme Aakhir ka shama faroza huwa
Noore awwal ka jalwa hamara Nabi

Buj gayi jis ke aage sabhi mash'ale
Shamma woh lekeh aaya hamara Nabi

Jis ke talwon ka dhowan he aabe hayaat
Hai woh jaane maseeha hamara Nabi

Khalq se Awliya Awliya se Rasul
Aur Rasulon se aala hamara Nabi

Jaise sab ka Khuda ek he waise hi
In ka un ka tumhara hamara Nabi

Kawn deta he dene ko muh chahiye
Dene waala he sacha hamara Nabi

Kya khabar kitne taare khile chhup gaye
Par na doobe na dooba hamara Nabi

Saare ooncho meh ooncha samajhye jise
Hai us oonche se ooncha hamara Nabi

Gham zadoh ko Raza muzda dije kahe
Be kason ka sahara hamara Nabi



Mere Aaqa Aao ke muddat hoi hai

Mere Aaqa Aao ke muddat hoi hai
Teri rah mein Akhiyan bichate bichate

Teri hasratoon mein Teri chahatoon mein
Bare din huway ghar sajate sajate

Yeh dil jab se Ishq e Nabi (Sal Allaho Alehi Wasallam) mein para hai
Na din ki khabar he na shab ka pata hai

Ab tu basarat bhi kum ho gayee hai
Tere gham mein aansu bahate bahate

Na Ka’abe se matlab na Masjid ki chahat
Faqat dil mein Hakim tamanna yehi he

Jo mil jaaye Naqsh e kafe Pa’ay Ahmed
Tu mar jaaein sar ko jukate jukate

Mere lab pe Mola na koi sadaa hai
Faqat iss nikamme ki yehi dua hai

Meri sanse nikle dar e Mustafa (Sal Allaho Alehi Wasallam) pe
Gham e dil Nabi(Sal Allaho Alehi Wasallam) ko sunate sunate

Mera yeh he Imaan, ye mera yaqeen he
Mere Mustafa sa na koi Haseen he

Ke Rukh un ka dekha he jab se Qamar ne
Nikalta he munh ko chupate chupate

Qiyamat ka manzir bara pur khatar hai
Magar Mustafa ka jo diwana ho ga

Woh pul se guzar ja’ay ga wajd karte
Na’ra Nabi ka lagate lagate

Mere Aaqa Aao ke muddat hoi hai
Tere rah mein Akhiyan bichate bichate

Teri hasratoon mein Teri chahatoon mein
Bare din hova ghar sjate sajate

Mustafa jaan-e-rehmat peh laakho salam


Mustafa jaan-e-rehmat peh laakho salam
Sham-e-bazme hidayat peh laakho salam

Jis suhaani ghari chamka Tayba ka chand
Us dil afrawze saat peh lakho salam

Jis ke mathe shafat ka sihra raha
Us jabaane saadat peh laakho salam

Aik mera he rehmat pe dawa nahi
Shaha ke sare ummat peh laakho salam

Jis kay aane say yasrab Madinah bana
Aysa aaqa ke amad peh laakho salam

Kul jahan milq aur jaw ki roti ghiza
Us shikam kii qana'at pe laakhon salam
Ummati ummati lab peh jari rahe
Ummati tere kismat peh laakho salam

Mujh se khidmat ke kudsi kahe ha Raza

Ya Nabi Salam Alaika
Ya Rasul Salam Alaika
Ya Habib Salam Alaika
Salawa tulla Alaika

Rehmato ke taaj waale
Do jahaan ke raaj waale
Arsh ki meraaj waale
Aasiya ki laaj waale

Ya Nabi Salam Alaika
Ya Rasul Salam Alaika
Ya Habib Salam Alaika
Salawa tulla Alaika

Bakht ka chamka sitara
Hazri ka ho ishara
Dekar Rawza tumhara
Phir kahe kadim tumhara

Ya Nabi Salam Alaika
Ya Rasul Salam Alaika
Ya Habib Salam Alaika
Salawa tulla Alaika

Duur ho jaaye ye duuri
Hasil ho jaaye khuzuri
Dekh luu wo shakle noori
Dil ki harate ho puri

Ya Nabi Salam Alaika
Ya Rasul Salam Alaika
Ya Habib Salam Alaika
Salawa tulla Alaika

Maula Ya Salle Wasallim Daaeman Abaadan


Maula Ya Salle Wasallim Daaeman Abaadan
Ala Habibeka Khayril Khalqe Kulle Hemi
Alhumdo Lillaahe Munshil Khalaqe Min Adami
Shum Mas Salaato Alal Mukhtaare Fil Qadami
Amin Tazak Kore Jiraanim Bezi Salaami
Mazajta Dam-An Jara Mim Muqlatim Bedami
Fama Le Ay Nay Ka In Qultak Fofa Hamata
Wama Le Qalbe Ka Inna Qultastafiq Yahemi
Fa Kayfa Tunkero Hubbam Ba?ada Ma Shahedat
Behi Alayka Udulud Damaey Was Saqami
Astagferul-Laaha Min Qawlim Bela Amaalin
Laqad Nasabto Behi Naslal Lezi Ooqomi
Muhammadun Sayyedul Kawnayni Was Shaqalayni
Wal Fariqayni Min Urbiw Wa Min Ajami
Nabiyyonal Aamerun Naahi Fala Ahadun
Abarra Fi Qawle La Minhu Wala Na Aami
Huwal Habibul Lazi Turja Shafa Atohu
Le Kulle Hawlim Minal Ahwaale Muqtahemi
Da?aa Ilal Laahe Fal Mustam Sekuna Behi
Mustam Sekuna Be Hablin Ghayre Munfasemi
Kaz Zahre Fi Tarafin Wal Badre Fi Sharafin
Wal Bahre Fi Karamiw Wad Dahre Fi Hemami
Ya Akramal Khalqe Maliman Aluzo Behi
Sewa Ka Inda Hululil Hadesil Amami
Wal Aale Was Sahbe Summat Tabe-Eena Lahum
Ahlittoka Wannoka Wal Hilmi Wal Karami
Summar Rida An Abi Bakriw Wa An Umarin
Wa An Usmana Wa An Aliyyiw Zil Karami
Wagfir Lena Shedeha Wag Fir Leqare Eha
Sa Al Tokal Khayra Ya Zal Jude Wal Karami
Ya Rabbe Bil Mustafa Ballig Maqasedna
Wag Fir Lana Ma Madaya Wase Al Karami

Arshe Haq he musnade rifâat Rasoolullah


Arshe Haq he musnade rifâat Rasoolullah ki
Dekhni he Hashr me Izzat Rasoolullah ki

Qabr me lehraa-e-ge tha Hasr chashme noor ke
Jalwah farma hogi jab talâat Rasoolullah ki

Laa Wa Rabbil Arsh jisko jo mila Unse mila
Bat’ti he Kownain me neâmat Rasoolullah ki

Wo Jahannum me gaya jo Unse mustaghni huwa
Hai Khalleelullah ko haajat Rasoolullah ki

Sooraj ulthe paaw palthe chaand ishaare se ho chaak
Undhe Najdi dekhle Qudrat Rasoolullah ki

Tujhse aur Jannat se kya matlab wahabi door ho
Hum Rasoolullah ke, Jannat Rasoolullah ki

Hum bhikaari Wo Kareem, Unka Khudaa Unse fizoo
Aur naa kehna nahee Aadat Rasoolullah ki

Ahle Sunnat ka he bera paar Ashaabe Rasool
Najm he aur Naav hai Itrat Rasoolullah ki

Toot jaa-enge gunaahgaro ke fawran qaid-o-bund
Hashr ko khuljaaegi Taaqat Rasoolullah ki

Ya Rabb ik saa’at me dhul jaa-e siyaahkaro ke jurm
Josh par aajaaye ab Rehmat Rasoolullah ki

Ae Raza khud Saahibe Quraan hai mud’daahe Huzoor
Tujhse kab mumkin he phir midhat Rasoolullah ki

(Sallallahu alahi wa Sallam)


Mujhe bhi Madine bula mere Mawla


Mujhe bhi Madine bula mere Mawla
Hame bhi Madine bula mere Mawla

Karam ki thajallee dikhaa mere Mawla
Hamay bhi Madine bula mere Mawla

Bohoth bekaraari ke alam mein hu mein
Meri bekaraari mithaa mere Mawla

Hame bhi Madine bula mere Mawla
Karam kee thajalee dikhaa mere Mawla

Nigaho se pinhaa jo manzil meri hein
Kyun majdhar me naao meri pasi hein

Hathaoo ka mara bhi pale gaa sahil
Gar abid ke dil me samaa mere Mawla

Hame bhi Madine bula mere Mawla
Karam kee thajalee dikhaa mere Mawla

Mujhe bhi Madine bula mere Mawla
Hame bhi Madine bula mere Mawla

Bohoth bekaraari ke alam mein hu mein
Meri bekaraari mithaa mere Mawla

Sunaah hai Madinah karam hi karam hai
Thu rakhtha jahan mein sabhi ka bharam hai

Tuje vasthaa tere pyaare Nabi ka
Meri bhigri aab tho bana mere Mawla

Jise tuune chaha mein uss pe fidha hu
Mein tere Muhammad ke dhar ka ghada hu

Tuje vasthaa Syeda Fatimah ka
Muje harr bala se bacha mere Mawla

Tera khawan main Tere geet gawan, Ya Rasoolallah

Tera khawan main Tere geet gawan, Ya Rasoolallah
Tera khawan mein Tere geet gawan, Ya Rasul allah
Tera milaad mein kyon na manawaan, Ya Rasolallah.
Tera milaad mein kyon na manawaan, Ya Rasulallah

Halima kar qadi vekhay, kadi Sarkaar (SAW) nu wakhay,
Main keri sayj Tere lai sajawan, Ya Rasoolallah.
Tera milad main kyun na manawan, Ya Rasulallah.

Mera dil vi aie chahnda aey, Tusi merey we ghar aao,
Par mein kerey maan thi tainu bulaanwaan, Ya Rasoolallah.

Jagaao bhaag merey vi Abu Ayyub dey vangoon,
Muqaddar os da kithon liyawan, Ya Rasoolallah.

Mayn kujh vi nai jay Teray naal meri koi nisbat nahin,
Mayn sab kuch haan je mayn Tera sadaawan, Ya Rasoolallah

Suna hai Aap har ashiq kay ghar tashreef latay hain,
Meray ghar mein bhi ho jaye charaghan, Ya Rasulallah.

Madinay paak day under meri ayho eibadar hai,
Teray rozay toon na nazran hatawaan, Ya Rasulallah.

—————————————————

Madiney aake ho raat din meri ibaadataein,
Tere roze ton na ankhiyaan hattanwaan, Ya Rasoolallah.

Zamaane bhar ka yeh qaidaah hai ke jis ka khaana usi ka gaana,
Tumhaara sad’qah hi kha rahe hain, tumhaare hi geet gaa rahe hain,
Mayn har dum teriyaan na’ataan sunaawa, Ya Rasoolallah,
Khuda vi teri yaad karta sanaawa, Ya Rasoolallah.

Ajal de aun ton pehle je Teri deed ho jaave,
Mayn aesi maut ton qurbaan jaawaan, Ya Rasoolallah.

Jina ne tere yaan qadmaan nu sine naal laayaaey,
Nasiba waliyan honeeya oththaawaan, Ya Rasoolallah,
Keven sud aashna tehrir ho jaaey zahoori di.


Zameen meli nahi hoti zaman mela nahi hota


Zameen meli nahi hoti zaman mela nahi hota
Zameen meli nahi hoti zaman mela nahi hota

Muhammad ke ghulamon ka kafan mela nahi hota

Muhammad kamli wale se woh jazba hai suno logo
Yeh jis mann mein sama jaaye woh mann mela nahi hota

Muhammad ke ghulamon ka kafan mela nahi hota

Gulon ko choom laite hain saharnam shabnami qatre
Nabi ki naat sun le to chaman mela nahi hota

Muhammad ke ghulamon ka kafan mela nahi hota

Jo naam-e-Mustafa choome nahi dukhti kabhi ankhen
Pehen le pyaar jo unka badan mela nahi hota

Muhammad ke ghulamon ka kafan mela nahi hota

Nabi ka daman-e-rehmat pakar lo e jahan walo
Rahe jab tak yeh haathon mein chalan mela nahi hota

Muhammad ke ghulamon ka kafan mela nahi hota

Mein nazan tu nahi nasir magar apna yeh dawa hai
Sana-e-Mustafa karne se fan mela nahi hota

Muhammad ke ghulamon ka kafan mela nahi hota

No comments:

Post a Comment