S A L A A M
Sahar ka waqt tha, Sahar ka waqt hei
Masoom kaliyan muskurati hein
Hawayein khair e maqtam ke
Taraney gun-gunati hein
Farishton ki salami deney wali fauj gati thi
Janab e Aamina r.a. sunti thi yeh aawaz aati thi...
Ya Nabi s.a.w. Salam Alayka
Ya Rasool s.a.w. Salam Alayka
Ya Habib s.a.w. Salam Alayka
Salava Tula'a Alayka
Jab Nabi s.a.w. paida huwey they
Sab malak dar pe khadey they
Ba adab yun keh rahey they
Salava Tula'a Alayka
Rahmaton ke taj waley
Do jahan ke raaz waley
Arsh ki meraj waley
Aasiyon ki laaj waley
Jankni ke waqt aana
Kalma e tayyab padhana
Chehra e anwar dikhana
Hum ko imaan per uthana
Ranj o gham kafur kar do
Hijr ke din dur kar do
Dil ko rashq e toor kar do
Noor se mamoor kar do
Vaasta aal e abaa ka
Sadqa bibi fatima ka
Or shaheed e qarbala ka
Gham na ho roz e jazaa ka
Jaan kar kafi sahara
Le liya hei dar tumhara
Khalk ke varis khudara
Lo salam ab to hamara
Mustafa Khair ul varaa ho
Sarvar e har do sara'a ho
Apne achchhon ke tasadduq
Hum gadon ko bhi nibaa ho
Ho mubarak ahl e imaan
Ho gayee subh e baharan
Ho gaya har ghar charagan
Salava tulla alayka
Aamina bibi ka jaaya
Baharvin tarikh aaya
Subh e sadiq ne sunaya
Salava tulla alayka
As tufail e gaus e azam
Ganj bakhsh e Faiz e Azam
Sadqa e imaam e azam
Dur aasiyon ke hon gham
Hai samaa harsu nirala
Maharbaan hai haq taa'la
Jis taraf dekhun ujaala
Aa gaya hei kamli wala
Be navisht khand aaya
Zulmaton ko faand aaya
Kar ke sab ko maand aaya
Aamina r.a. ka chand aaya
Ek jhalak jo dekh payein
Jaan aap per lutayein
Raah mein aankhein bichhayein
Dast e basta fir sunayein
Chasm o dil ka chain dono
Rooh e Mushrakleen dono
Shah ke noorain dono
Hein hasan a.s. , Husain a.s. dono
Naib e ashab e sarvar
Pehle hain siddiq e akbar
Fir umar , usman o Haidar
Bhejiye salaam un per
Hum ko dikhlao woh manzar
Or woh Milad e payambar
Jo farishton ke lab se aksar
Aaye nagma rooh e parvar
Awwal o aakhir tum hi ho
Batin o zahir tum hi ho
Hazir o nazir tum hi ho
Deen ke nasir tm hi ho
Ahmad e mukhtar aao
Khalk ke sardar aao
Paikar e anvar aao
Hamiyo ghamkhwar aao
Ranj o gham khaye huwey hein
Dur se aaye huwey hein
Tum per itraaye huwey hein
Haath failaye huwey hein
Aamina r.a. bibi ke pyare
Tum pe utrey tees paarery
Bekason ke tum saharey
Vajd mein ummat pukarey
Aap hi sab se haseen ho
Aap hi noor e mubeen ho
Tajdar e mursaleen ho
Aap hi dil mein makeen ho
Hum gunahon mein hein doobey
Daal do rehmat ke pardey
Ishq ke kartey hein sajdey
Or yeh padhtey hein dil se
Barkati mahina ye aaya
Rabi ul awwal hai paaya
Rab ki rahmatein yeh laaya
Ummaton ke sir pe saaya
Qarbala waalon ka sadqa
Fatima zahra r.a. ka sadqa
Baghdadi aaqa ka sadqa
Khwaja e hindal ka sadqa
Aashiq e maeel ki sun lo
Bani e mehfil ki sun lo
Saamaeen ke dil ki sun lo
Akbar e bismeel ki sun lo
Kuch na ki hum ne kamai
Umr sab yun hi ganvai
Aye arab waley duhai
Kijiyo mushkil kusai
Aye merey maula ke pyarey
Noor ki aankhon ke tarey
Ab kisey sayyad pukarey
Tum hamarey hum tumharey
Subha ka waqt haseen ho
Zarra zarra dilnaseen ho
Aur madiney ke zameen ho
Aapka baikal vahin ho
Ya shafi al mujnabina
Mahbat e vayyus shakina
Noor se mamoor sina
Musk se behtar pasina
Kya kahun aaqa mein kya hoon
Aashiq e ghaus ul waraa hoon
Khwaja ke dar ka gadaa hoon
Khadim e ahmad raza hoon
Aapka tashrif laana
Waqt bhi kitna suhana
Hurein gaati thi tarana
Ho salam aye aajzana
Ya nabi s.a.w. ummi lakab tum
Ya habib s.a.w. mehboob e rab tum
Ya rasool s.a.w. aali nasab tum
Salava tulla alayka
Jo huwa tum se huwa hei
Jo kiya tum ne kiya hei
Do jahan ke ho sabab tum
Salava tulla alayka
Khatm hei tum per risalat
Sir nigun ahl e balagat
Or ho ummi lakab tum
Salava tulla alayka
Chamka jab noor e risalat
Bujh gayee Sham e jahalat
Mehr e deen maah e arab tum
Salava tulla alayka
Kyun khuda shaida na hovey
Kyun jahan kurbaan na hovey
Misl e gul ho khanda lab tum
Salava tulla alayka
Hum burey hein ya bhaley hein
Aap ke hein aap ke hein
Khas ho mehboob e rab tum
Salava tulla alayka
Ek nazar shah e umam ho
Ghamjadon per bhi karam ho
Rahmat e aalam ho jab tum
Salava tulla alayka
Tum habib e kibriya ho
Aur imaam e ambiya ho
Do jahan ke peshwa ho
Shafi e roz e jazaa ho
Chhod kar daman tumhara
Aur lein kis ka sahara
Kaun deta hei sahara
Kis ke dar pe ho guzaara
Aap ke dar ki fakiri
Do jahan ki hai amiri
Aa gaya ab waqt e peeri
Kijiyo lillah dastgiri
Hei ye hasrat dar pe aayein
Ashq ke dariya bahayein
Daag siney ke dikhayein
Saamney ja kar sunayein
Puri ya rab yeh dua kar
Hum dar e maula pe ja kar
Pehley kuch naatein suna kar
Fir padhein sir ko jhuka kar
Bakhsh do jo chiz chaho
Kyun ke mehboob e khuda ho
Aap to baab e sakha ho
Haan mujhe bhi kuch ataa ho
Arsh e aazam per tum hi ho
Khalk ke rahbar tum hi ho
Saaki e kausar tum hi ho
Shafi e mehsar tum hi ho
Bakht ka chamke sitara
Hazri ka ho ishara
Dekh kar roza woh pyara
Fir kahey khadim tumhara
Mujh ko taibah mein bulana
Fir mujhe jalva dikhana
Aur siney se lagana
Apne qadmon mein sulana
Layein jo imaan tum per
Kyun na dein wo jaan tum per
Meherbaan rehman tum per
Khalk sab kurban tum per
Hijr mein mushkil hei jina
Dil huwa chak or sina
Thamiye mera safina
Ya shafi al mujnabina
Kash hasil ho huzuri
Dur ho jaye yeh duri
Dil ki ye hasrat ho puri
Dekh lun wo shakl e noori
Dil mein tum masnad nasheen ho
Is makaan ke tum makeen ho
Hum marein to wo zameen ho
Aur sirhane bhi tum hi ho
Nooh ke tum nakhuda ho
Khalk ke mushkil kusha ho
Sab ke tum hajat ravaa ho
Jo kahun us se siva ho
Bakhsh do meri khatayein
Dur hon gham ki ghatayein
Bhej do apni ataayein
Vajd mein hum yun sunayein
Hashr mein tum bakhshvana
Jab kahin na ho thikana
Apne daaman mein chhupana
Har musibat se bachana
Aye shafi e roz e mehsar
Hey siyaah isyan se daftar
gaus ka sadqa karam kar
Chasm e dil kar ke munavvar
Aye sabaa rozey pe jaana
Dast e basta keh sunanaa
Ya nabi s.a.w. dar pe bulana
Jalwa e zaiba dikhana
Fakhr e aadam Fakhr e Howwa
Fakhr e nooho Fakhr e Yahya
Fakhr e Ibraahimo moosa
Fakhr e Ismaeelo Eisa
Aye shahanshah e risalat
hei yahan jo ahl e sunnat
Daimee sab pe ho rehmat
Bani e mehfil pe barkat
Akbar e shaida tumhara
Fir raha hei maara maara
Jaan baja tum ko pukara
Us ki sun lo ab khudara
Asslam aye shaan e aalam
Asslam ummat ke vaali
Jholi reh jaye na khali
Arz karte hein sawali
Ya Nabi s.a.w. Salam Alayka
Ya Rasool s.a.w. Salam Alayka
Ya Habib s.a.w. Salam Alayka
Salava Tula'a Alayka
Salava Tula'a Alayka
************************************************************
Rakhna bharam ' Mehboob ' ka waqt e naja'a shaha
Karloon jabeen ko neechi , ba adab salaam ho
No comments:
Post a Comment